Subscribe:

Nazariya zindagi ka

Nazariya zindagi ka saral bana kar dekho ;
jaati aur dharm nahi , vyakti ka bas dil dekho .
jo dikh raha hai , door se , safed patthar - saa ;
kya pata mom ho , tum pyaar se chhukar dekho .
kisi ki aankh se dil tak agar pahunchna ho ;
apni dhun me barho , mat meel ke patthar dekho .
kisi ki nazre - inaayat nahi hoti yun hi ;
khud ki aukaat bhi uske mukaable dekho .
teri hi raar thani rahti kyon aajoo - baajoo;
kabhi fursat mile to khud se jhagad kar dekho .
change-your-life-301

safal logo ko dekh kar kabhi kunthit na bano ;
phool ke neeche chhupa kaanto ka bistar dekho .
kohinoor aasma se khud - ba - khud baraste nahi ;
khaan me ghus ke kabhi khaak chhaan kar dekho .
jab talak pankh hai naazuk , udaan chhoti bharo ;
khwaab ko tum kayi kishto me baat kar dekho .
chuk gaya maan , boodhe pedon se doori na karo ;
na sahi fal , mahaz saaya sukoon lekar dekho .
jahaan ki sabse umda gazal jab parhna chaaho ;
bhar ke mahboob ko baahon me , aankh me dekho …

 

By- Dr. Rakesh Shrivastava

2 comments:

Anubhaw kumar dwivedi said... Reply To This Comment

realy nice

Jay_Dave said... Reply To This Comment

 Thanks... :)

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...