Subscribe:

Dhoop sab pee ke sanvar jaao

Dhoop sab pee ke sanvar jaao chaandni ki tarah ;
umr barh jaayegi , lamhe jiyo sadiyon ki tarah .
vakt jyaada nahi hai naap lo oonchaaee ko ;
foot jaaoge kisi roj bulbule ki tarah .
haar mat maano pattharo se joojhte hi raho ;
chhaap unpe bhi padegi kabhi rassi ki tarah .
apni dhun me akele hi barho manzil ki taraf ;
sunshine_widescreen_vector-wide

koee roke agar ban jaao kaaphile ki tarah .
saath keechad ka mile tab bhi kamal ban ke raho ;
andhere cheer ke barh jaao raushni ki tarah .
been lo moti samandar ki talhati tak se ;
ilm paana hai to jut jaao tishnagi ki tarah .
tujh se zarre ko koee aandhi aasma degi ;
kaam jab jo karo , bas karo ibaadat ki tarah .
phool khilte hain to murjhaana hi padta hai unhe ;
maut se pahle bikhar jaao tum khushboo ki tarah …..

Writer  Name- Dr. Rakesh Srivasthava

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...