Me do pal chalta, ek pal rukta,.. per ek pal zindgi mujhse chaar kadam age nikal jati.
Me fir do kadam chalta, aur ek pal rukta, zindgi fir mujhse chaar kadam age nikal jati.
Yun hi zindgi ko jeet ta dekh, me muskurata aur…. Zindgi meri muskarahat pe hairan hoti.
Ye silsila yuhi chalta rehta, fir ek din mujhe hasta dekh ek sitare ne mujhse pucha?
Tum haar kar bhi muskurate ho?
Kya tumhe dukh nhe hota haar ka?
Tab me bas itna hi keh paya— mujhe pata hai aisi sarhad aegi, jahan se zindgi chaar kadam to kya ek kadam bhi age nhe bad paegi.
Tab zindgi mera intzar karegi… aur me tab bhi yuhi chalta, rukta, apni rafter se, apni dhun me wahan pahuchunga….. ek pal ruk kar zindgi ko dekh kar muskuraunga….
Beete safar ko ek nazar dekh apne kadam fir badaunga.
Zindagi meri Haar pe bhi na muskura payi thi, aur Jeet pe bhi na muskura payegi.. Aur me apni Haar pe bhi muskuraya aur Jeet pe bhi muskuraunga.. Theek usi pal me Zindgi se jeet jaunga... :)